Hello dosto
aaj my aapko batane wala hu ki website kaise banate hai
Bahot se log sikhna chahate hai aor apni website banana chahate hai lekin unhe pata nhi hota ki kaise banana hai
To tension lene ki koi baat nhi hai kyu ki aaj my is post me batane wala hu website kaise banate hai
Is post ko aap last tak jarur padna aapke sabhi sawalo ke jawab aapko is post me milenge
Jaise :-.
- Website kya hai
- apni website kaise banaye mobile se
- Website kaise banate hai
- website kaise banaye video
- school ki website kaise banaye
- e commerce website kaise banaye
- shayari website kaise banaye
In sabhi ke bare me aapko bataunga my vistar se to last tak bane rahe is post me
1. Website kya hai
Website ek tarah ka web page ka collection hai yesi information ya document jinhe internet se open kiya jata hai
Agar my kisi real site ki baat karu to abhi aap yah post jaha pad rahe hai yah bhi ek tarah ki blog website hai
Jab aap google par kisi chiz ko search karte hai aor jo result search engine me dikhta hai
Wah website ka ek chota hissaa hota hai aor link hoti hai site ki jiske baare me aapne search kiya hai
Site ke web page par kisi bhi tarah ki information ho sakti hai jaise ki text colour , image, sounds , graphics ityadi
Jab aapko koi bhi webpage ka address matalab url deta hai
To wah url us site ke kisi post ka ho sakta hai ya phir home page ka
Home page se aap us site ki sabhi post aor category me jakar post information pad sakte hai
2. Website banane ke fayde
Agar my baat karu site ke fayde ki to my bata du site ke bahot jyada faide hai jo aapki
life me ek bada privartan lati hai website se Nimnalikhit faide hai jaise
- Internet ki duniya me apni ek alag pahechan bana sakte ho
- Duniya ke sabhi un logo tak wah jankari pahucha sakte hai jinhe us jankari ki jarurat hai
- site se aap ek acchaa bussiness creat kar sakte ho
- Sath hi jab aapki site ko jyada log pasand karne lag jayenge tab aap yaha se earning bhi kar sakte hai
3. Ek blog site banane ke liye awashyak samagri
Yaha tak to sab thik hai lekin sabse bada sawal hai ki site banane ke liye kin kin chizo
Ki awasyakta hogi to my aapko bata du aapko kuch basic aor jaruri chizo ke bare me
Jinki awasyakta hoti hai blog banane ke liye
- Internet ki jankari hona jaruri hai
- Computer , laptop , ya mobile hona chahiye
- Net connection hona chahiye ( data, net pack , net balance ,)
- Jis bhi topic ke liye site bana rahe ho uski jankari hona chahiye
- Post publish karne ke liye rojana time hona chahiye
4. Apni website kaise banaye
mobile se / desktop computer
se website kaise banate hai
Mobile se aor desktop dono se site banane ka process ek jaise hai
Sabse pahele aapko c.m.s custom managment system select karna hoga
Jiski madad se bade hi aasani se jaan payenge ki website kaise banate hai
4.1 C.m.s system kon kon se hai
1. Blogger
2. WordPress
Yaha site banane ke liye ham blogger ka istemal karenge kyu ki iska istemal karna bilkul free hai
Jo ki google ka hi ek product jise sirf blog website banane ke liye google ne uplabdh karaya hai
5. Google ki tarah website kaise banate hai
Google ki tarah website banane ke liye aapko sabse pahele ek domain kharidna hoga
Jo 500-600 ₹ me mil jayega domain aap godaddy ya bigrock kisi se bhi kharid sakte ho
Agar aap domain kharid lete ho to aap apni website se paisa bhi kama paoge
Agar aap sikhne ke liye ya try karne ke liye website bana rahe hai to domain lene ki jarurat nhi hai
5.1 domain buy kaise kare
Sabse pahele aapko godaddy me jayiye apne domain. Name ko search kijiye
Uske baad add to cart aor acount bana le apna email id daal kar
buy now par click karke payment kar dijiye card, upi , netbAnking
Ke dwara aor domain aapka ho gaya bada easy hai
domain buy karna bilkul online shopping karna jitna asan
6. Blogger me website kaise banate hai
Blogger me website banane ke liye mobile ya desktop ke chrome browser ko open karke
Blogger.com search karke blogger open hone par apni email id se login kar le
Login karte hi creat new blog wala page open hoga jaha par aapko apni website ka title dena hai
Uske baad next par click karna hai aor apne blog site ka address url name dale aor next par click kare
Jiske baad aapko display name dalne ka bola jayega apni website ka name dal dijiye waha par
6.1. Blogger me custom domain kaise add kare
Blogger ke panel me aapko setting section me jana hai
Jaha aapko tisre no. Wale option publishing me jana hai waha 2 no. Par aapko custom domain ka option milega
Jispar click karke aap apna domain add kare
Jiske baad aapko apne domain ke dns me cname record banane hai jo aapko blogger me mile hai
Domain add karne ke baad uske baad aapko wapas se domain
Ki dns setting me jakar 4 A name records banane hai jaha par aapko ye no. Dalna hai jo my niche de rha hu
* 216.239.32.21
* 216.239.34.21
* 216.239.36.21
* 216.239.38.21
In charo ko dalne ke baad save karle aor aapka domain add ho gaya blogger me dekha kitna aasan tha
6.2 Blogger me custom template kaise lagaye
Template aap google se download kar sakte hai aapko jis bhi tarah ki chahiye
Template zip file hai to use extract kar le aor XML file alag kar le
Phir blogger me theme section me jaye aor my theme ke bagal me aapko 3 dot nazar aayenge
3 dot par click karna phir restore ke option par click karna uske baad XML
file ko upload kar dena ab aapka template update ho chuka hai
6.3. Blogger template ko customize kaise kare
Template customization se aap apna logo aor categories list bana sakte hai
Customization ke liye template section me jaye aor logo ke section me logo upload kar le
List ke section me aapko jis bhi categories ka list banana hai bana lijiye
Social link ki jagah apne sare social link laga lijiye aor aapka template customization ho jata hai complete
6.4 content taiyar kare post kare
Site ban jane ke baad aapne jis bhi subject ke liye website banaya hai
Us se related rojana post likhe aor post kare taki aapki website ko sabhi log
Jaan sake Or aapki post ko log pad sake taki aap paise kama pao
7. Website se paise kaise kamaye
Site se paise kamane ke liye jaisa ki mayne abhi bataya aapko rojana jankari share karna hoga
Jab log aapki jankari ko pasand karne lag jayenge aor padne lag jayenge
Tab aap google adsense se apni website ko monetize karke site par ads dikha sakte hai
Jiske aapko paise dega google adsense
7.1 google adsense kya hai
Google Adsense google ka advertising platform hai jaha par log apne bussiness
Ko ya kisi service ki advertisement karte hai
Aapne bahot baar dekha hoga google par ya youtube par jab
Jab aap kuch search karte hai to kuch ads nazar aati hai vo ads google adsense ki hi hoti hai
8. Website kaise banate hai se jude kuch FAQ
9. Shayari website kaise banaye
Myne jo process upper bataya hai bilkul usi tarah se customize karke aap shayari website bhi bana sakte hai
Jiske liye aapko aapki website ka name aor category list me thode badlao karna hoga
Jaise ki aap alag alag category bana sakte hi
Example :- romantic shayari, breakup shayari, aor bhi jinke bare me aap likhte ho
Is tarah se aap bana sakte ho ek shayari website sara kuch same hi hota hai bas category me thode badlao hote hai
10 . Jio phone se website kaise banaye
Jaisa ki aapko pata hai site banane ke liye hame c.m.s. platform ka istemal
Karna hota hai jisme JavaScript , XML file, CSS , ka upyog bahot jyada hota hai
Jiski wajah se jio phone c.m.s platform par kaam nhi kar payega
Jiski wajah se mobile me problem bhi aa sakti hai to my aapko bata du ki
Ek jio phone se website banana namumkin hai
9. School ki website kaise banaye
Agar aapko ek normal school ki website banana hai jaha par aap school se judi
Kuch jankari ya notice share karna chahate hai to aap bilkul blogger par isi tarah se
Ek achi school website bana sakte hai
Agar aapko aor jyada professional aor jyada features ke sath bana hai website to aapko uske liye wordpress ka istemal karna hoga
10. E commerce website kaise banaye
Agar my sach kahu to ek fully functional e commerce website banana blogger par bahot hi muskil hai
Lekin agar aapko coding ka knowledge hai to aap bana sakte hai blogger par bhi
Lekin aapko blogger par e commerce site banane ke liye bahot jyada muskile aayegi
Ek fully functional e commerce site banane ke liye aapko wordpress ka istemal karna hoga
11. Website banane ka software
Agar my baat karu website banane wale software ya platform ki to my bata du
Ki website banane ke liye wordpress , blogger , wix , ayese aor bhi
Platform hai jaha par website bana sakte hai lekin agar best platform ki baat kare to
WordPress aor blogger hai jinme se aaj hamne blogger par website ya blog kaise banate hai bataya hai
Yah bilkul free tha jo ki google ka hi product hai aor yahi sabse achi baat hai
12. website kaise banaye video
Yah bhi pade :- Blogging kaise kare
13. Website kaise banate hai conclusion
My umeed karta hu aapko website kaise banate hai samjh aa gaya hoga
Aor aap sikh bhi gaye honge jiske baad sayad aap apni website banakar ek income source generate kar pao
Agar aapko website kaise banate hai , website kaise banaye , shayari website kaise banaye , school website
Kaise banaye , e commerce website kaise banaye se related koi
Question ho ya samjh nhi aaya ho to aap hamse comment section me puch sakte ho
Haam aapke sabhi sawalo ke jawab dene ki puri koshis karenge
🙏 Thank you. 🙏
Great Youtuber and Nice article very helpful
To know about EWS Cerificate
Visit XJOBS website